“ Koyla”- Bhramar –Hindi poem
Kya hans doon mai,
Hua “Koyla”
‘Koyal” naa hoon,
kook kook kar
tumhe rijhaun,
khud ko mai
jhuthlaun.
Pahle se hi ,
Jala hua hoon,
Kudrat ka hoon mara,
Maar jor ki-
Lagi hamare,
‘Dagdh hriday par
abhi samhale,
bana nahi mai “Raakh,”
Berahmi duniya ki dekho,
Kuchh bhi n pahchan.
Apne 'swarth' ki khatir,
Nit nit roj lagate”Aag”
Jalne se kuchh
Dard to hota,
Unko kya ahsaas.
Lakh chhipa do,
Mn to rota,
Kya jaane
Hansna kya hota,
Jinki khatir –
Jala-gaya mai,
Jeevan deta
Naa sochen 'vo' ,pal-
Bhar bhayi,
'Ant' mera kuchh
Achchha hota.
Kabhi jalayen,
Kabhi bujha den,
“Roti apni Senke”
raakh huye bhi
gandi naali ya-
naala he fenke.
Tukur tukur bs
Taake -jaun,
Naala jb ye
Bahta-jaata,
Badhta-jaata,
Us “Ganga ” ki oar,
Jahan’ Bhagirath’
Ke purvaj sab,
‘tare’ huye the,
paaye the ek chhor.
Mera ‘TP’ bhi kya –
Kuchh kam hai??
Jaun-shayad kal,
Fir banu.. aur kuchh-
Hans paaun-
aur
hansaun.
6.34A.M. 12.2.11 Jal(PB).
No comments:
Post a Comment
दे ऐसा आशीष मुझे माँ आँखों का तारा बन जाऊं
अभिनन्दन आप का ,हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा हुआ है -आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं -शुक्ल भ्रमर ५