BHRAMAR KA DARD AUR DARPAN

Friday, February 4, 2011

BETI KI JID KE AAGE --(HINDI POEM)

Munni boli,
Gudiya meri,
Amma ! -Dost
mangta hai,
kahta isko
pyar karunga
ghar me roj
shringaar karunga,
apne se bhi
badhkar Amma,
sachcha sa
 vyavhar karunga,
Beti Ki jid-
Ke aage fir
Amma ne “haan”
 bhar di,
dost khelta raha ,
vo kuchh pal,
mn se gale-
lagaye,
chaar dost
uske fir aaye,
chheen jhapat
gudiya le bhage,
door khade-
kapade kuchh noche,
haanth pavn bhi
toda,
kya paye ‘vo’-
‘vo’ he jane,
Munni-Dost
Raha bs rota……..

Surendrashukla”Bharamar”
8 AM 2.2.11 Jalandhar (Punjab).

No comments:

Post a Comment

दे ऐसा आशीष मुझे माँ आँखों का तारा बन जाऊं
अभिनन्दन आप का ,हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा हुआ है -आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं -शुक्ल भ्रमर ५