BHRAMAR KA DARD AUR DARPAN

Sunday, February 6, 2011

"KAALA" AUR GORA -(HINDI POEM)

“Kaala –Gora ( Hindi Poem).
Unke koi ‘Lal’ nahi tha,
Kal ke the kangaal,
Neta –Sadhu ke peechhe vo,
Kachchh –Asam-Bengal,
Jhuggi basti me firte ve,
Dikhte jyon ‘kankaal’,
Kya jadu fir seekha usne,
Gora-“Kaala” janam diya,
Gore ko to dekha sbne,
Kaala Switzerland gaya,
Vahin vo palta -bada hua,
Fir ghar me nahi samaya,
Rang dikhaya usne jb to,
Sbka mn chakraya,
“Lal” tu kiska poochhe sb-
pr naam nahi batlaya,
Kala-Kala-Kala-Kala..
Duniya shor machaya,
Court katchehri government ko
Sb ko naach nachaya,
Kahen ‘Bhramar’ kale ko lao,
Thoda makkhan doodh pilao,
Sabun shampoo se nahlao,
Tumko agar ghrina hai (Allergy) isse,
Do garib he pa-len isko,
Unko ‘Lal’ bhi mil jayega,
Naamkaran bhi ho jayega,
Tb shayad ‘kuchh’ aage aayen,
“Lal” ye mera vo chillayen,
Jethu Mali ne fir kaaka,
Likhi ek ardaas,
Dekho kal kuchh nirnay(Justice) hoga,
Ya sb fir ‘Bakvaas’(Bogus).

Surendrashukla “Bhramar”
8.26 AM Jalandhar (Punjab)
6.02.2011

No comments:

Post a Comment

दे ऐसा आशीष मुझे माँ आँखों का तारा बन जाऊं
अभिनन्दन आप का ,हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा हुआ है -आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं -शुक्ल भ्रमर ५