BHRAMAR KA DARD AUR DARPAN

Saturday, January 29, 2011

Meri Bitiya Hindi Poem

Meri Bitiya kitni pyari,
Rang birange phool lagaye,
Udti firti bagiya kyari,
Jb jb uthti koyal si bole,
Maat pita ke pair ko chhuye,
Lagta suraj ug aaya,
Jyoti - jeevan duniya laya,
Muskati Titali Bijli si,
Sb ko naach nachati firti,
Maa ki chapla pyari firki,
Raama ki bolo tum sita,
Ya kaanha ki gita ,
Laxmi ka avtar hai beti,
Ghar ko roj sajaye,
Dard bhara ho dil me kuchh bhi,
Usko dur bhagaye,
Uske gam ke age,
Bhayi sb kuchh phika pad jaye,
Tabhi to doli uthte uski,
Sb rote rah jayen,
Apne dil ke tukde ko ham..
Itne dard sahe bhi dete,
Kyon ki roshan sara jag hona hai,
Mera ghar to.. bas ek kona hai,
Jaa Beti jagmag tu kar de,
Ghar aangan har kona,
Kahin bana de sita pyari,
Kahin Ram Bharat v kanha,
Jag Janani tu jeevan jyoti,
Jitney naam karan sb kam hain,
Sabhi karm ya sabhi dhram hon,
Sabhi mool ya sabhi mantra hon,
“Ma’ bin sabhi adhura,

Tere rup anek hain beti,
Gayatri, kaali ya durga,
Jb jo chahe dhar le,
Jg ka hai kalyan he hona,
Mn itna bs nishchit kar le.

Meri lakh duvayen beti tu
Aiisa kar jaye………….
Yaad me teri moti chhalke
Har ankhiyan bhar aayen.

Surendrashukla “Bhramar” on daughters day…..
to my lovely kids n sweetheart
17.01.2011

2 comments:

  1. Hi Dears hope u ll find it near to your heaart ppl were asking me to create such poems....gd luck

    ReplyDelete
  2. badi ghatiya rachna hai

    ReplyDelete

दे ऐसा आशीष मुझे माँ आँखों का तारा बन जाऊं
अभिनन्दन आप का ,हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा हुआ है -आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं -शुक्ल भ्रमर ५