BHRAMAR KA DARD AUR DARPAN

Saturday, January 29, 2011

Meri Bitiya Hindi Poem

Meri Bitiya kitni pyari,
Rang birange phool lagaye,
Udti firti bagiya kyari,
Jb jb uthti koyal si bole,
Maat pita ke pair ko chhuye,
Lagta suraj ug aaya,
Jyoti - jeevan duniya laya,
Muskati Titali Bijli si,
Sb ko naach nachati firti,
Maa ki chapla pyari firki,
Raama ki bolo tum sita,
Ya kaanha ki gita ,
Laxmi ka avtar hai beti,
Ghar ko roj sajaye,
Dard bhara ho dil me kuchh bhi,
Usko dur bhagaye,
Uske gam ke age,
Bhayi sb kuchh phika pad jaye,
Tabhi to doli uthte uski,
Sb rote rah jayen,
Apne dil ke tukde ko ham..
Itne dard sahe bhi dete,
Kyon ki roshan sara jag hona hai,
Mera ghar to.. bas ek kona hai,
Jaa Beti jagmag tu kar de,
Ghar aangan har kona,
Kahin bana de sita pyari,
Kahin Ram Bharat v kanha,
Jag Janani tu jeevan jyoti,
Jitney naam karan sb kam hain,
Sabhi karm ya sabhi dhram hon,
Sabhi mool ya sabhi mantra hon,
“Ma’ bin sabhi adhura,

Tere rup anek hain beti,
Gayatri, kaali ya durga,
Jb jo chahe dhar le,
Jg ka hai kalyan he hona,
Mn itna bs nishchit kar le.

Meri lakh duvayen beti tu
Aiisa kar jaye………….
Yaad me teri moti chhalke
Har ankhiyan bhar aayen.

Surendrashukla “Bhramar” on daughters day…..
to my lovely kids n sweetheart
17.01.2011

Friday, January 28, 2011

IS CHAMAN ME FIR SE "AMAN" HINDI POEM

Ye lal rang,
Inhe unhe hame,
Ham sabko pyara hai,
Iske katre chheeten boonden,
Anayas jo yahan vahan,
Bah rahe mitti me mil rahe,
Pairo tale raunde ja rahe,
Sholey bhadka rahe,
Nafrat ki diwar ban,
Din pratidin rajneeti me,
Anu parmanu dhoondh rahe,
Barood bhar rahe,
Kapda aur makan to door,
Roti aur pet par laat,
Ye kya kalyugi baat !
Kab tak johen hm,
Kalki ki baat,
Aao ham mil jul,
Chhor reeti dhulmul,
Sanjoye samhalen,
In bahti boondon ko,
Banayen tasveeren sapno ki,
Bharen rang ,Ye Lal rang,
Inhe unhe hame ,
Ham sabko jo pyara hai,
Lagta hai najar lag gayi ,
Kisi ki hamare “Swarg”  ko,
Ye kitne pyare kitne kaam ke,
Kudrat ki amulya den,
Nikle the jo hariyali lane,
Basane Chand ,Suraj Aashiyan,
Bhatak gaye…
Bhool gaye.. kuchh rasta..Lakshya ,
Bhatak rahe disha vihin,
Paharo ghatiyon me,
Bhukhe log sahme bachche,
Bhargte fir rahe…
Kaash koi tathakathit ..
Allah …God…Bhagvan..
Ojha Neta ..Raajneta ,
Jadoogar chhari ghumata,
Ye bhatke log mil jaate ….
Hariyali laut aati,
Aur is Chaman me
Fir se “Aman”
Vahi phool khil jaate … 
sukumarshukla “Bhramar” 

 Udhampur Jammu & Kashmir  - 17 July ,2003.

Thursday, January 27, 2011

Happy New year

Dear Friends,

Let us start and welcome new year ...


Sapne saje huye sach sare,
Hath aapke bhagy sitare,
Heera panna moti manik ,
 sab le aayi nayi kiran,
Kholo aankhen ku6 Muska lo bada anokha aaj milan,
2 Zero ab 1 ek mil sb anant de jayen,
Shanti Prem Samridhi Unnati ki Varmala pahnayen,
Man Mayur sa nache jhoome sb apne ban jayen.---Bhramar
Surendra Kumars Shukla